Skip to content
BLURT
PL│EN
Blurt.blogBlurtForumDiscordVideoCommunitiesNew users

← Back to posts

BLURT · COMMUNITY

Savi – Aik Biwi Ki Apne Shohar Ko Bachanay Ki Jadd-o-Jehad!

@socialdaisy · 24.11.2026, 06:48

image.png

Savi aik aisi film hai jismein aik aam si housewife apne shohar ko jail se nikalne ke liye woh sab kar guzarnay ka faisla karti hai jiska shayad usne kabhi socha bhi nahi hota.

Savitri yani Savi (Divya Khossla) apne shohar Nakul (Harshvardhan Rane) aur betay ke saath Liverpool mein rehti hai. Zindagi theek chal rahi hoti hai ke achanak Nakul par apne boss ke qatal ka ilzaam lag jata hai. Police usay giraftar kar leti hai aur tamam saboot bhi uske khilaf hotay hain. Savi ko yaqeen hota hai ke uska shohar begunah hai, lekin jab usay kahin se koi umeed nazar nahi aati toh woh khud hi usay jail se nikalne ka plan banati hai.

Is kaam mein usay Joydeep Paul (Anil Kapoor) ki madad milti hai, jo khud bhi jail ki duniya ka purana khiladi reh chuka hota hai. Ab aik aisi aurat jo aam gharailu zindagi guzar rahi thi, achanak aik high-security prison se apne shohar ko nikalne ke liye mushkil aur khatarnaak raasta chun leti hai.

Divya Khossla ne Savi ke kirdaar mein achi koshish ki hai. Harshvardhan Rane bhi apne role mein theek lagay hain, lekin film mein sab se zyada jaan Anil Kapoor ki entry ke baad aati hai. Unka apna aik alag hi andaaz hai. Screen par aatay hi mahaul badal detay hain aur unki dialogues delivery bhi achi lagti hai.

Film ka concept dilchasp hai aur doosray half mein kahani kuch behtar hoti hai. Jail se nikalne ka plan aur uske liye ki janay wali tayari dekhne mein dilchaspi paida karti hai. Lekin kuch jagahon par screenplay mein aisi sahulaten nazar aati hain jo haqeeqat se zyada filmi lagti hain. Kuch faislay bhi itnay asaani se ho jatay hain ke sawal uthnay lagtay hain.

Mujhe lagta hai film ki kahani mein potential tha, lekin isay aur behtar tareeqay se pesh kiya ja sakta tha. Phir bhi aik aurat ka apne shohar par bharosa aur usay bachanay ke liye har mushkil ka saamna karna film ka acha pehlu hai.

Overall, Savi aik theek thaak thriller hai. Anil Kapoor ki performance aur second half film ko dekhne laayak banatay hain. Agar aapko jailbreak aur suspense wali movies pasand hain toh aik baar dekh saktay hain.

36.893 BLURTReward
3Votes
0Comments

Open original post ↗

Comments

Loading comments…

← Back to posts